Khayaal-e-Yaar Mein Mujh Ko Yun Hi Madhosh Rehne DoKhayaal-e-yaar mein mujh ko yun hi madhosh rehne doNa pucho raat ka qissa mujhe khamosh rehne doSunaya vasl ka qissa to mere dost yun boleKahan tum kahan us kee haseen aghosh rehne doMujhe maloom hai us ne mera hona nahin lekinMeri umeed mat todo mujhe pur-josh rehne doMohabbat jurm hai mera mujhe iqraar hai iskaWafaa ilzaam hai to phir mere sar dosh rehne doKitaab-e-ishq se hum par yehi raaz khula haiPaaye jo jaam ulfat ka usse meh-nosh rehne do
Aye Khoobsurat HaseenaAye khoobsurat haseena, tu sirf sawal nahi ek paheli haiAye khoobsurat haseena, tu sirf sawal nahi ek paheli haiAur jispe hum line maarte hain, vo tu nahi teri saheli hai
Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati HainSamandar mein utarta hun to aankhen bheeg jati hainTeri aankhon ko padhta hun to aankhen bheeg jati hainTumhara naam likhne ki izazat chinn gayi jab seKoi bhi lafz likhta hun to aankhen bheeg jati hain
Kissi Ke Pyar Mein Gehri Chot Khai HaiKissi ke pyar mein gehri chot khai haiWafa se pehle hi wafa bewafa paayi haiLog to dua maangte hein iss haal mein marne kiPar hamne uski yaadon mein jeene ki kasam khai hai
Kayi Sadiyon Mein Aati Hai Koi Soorat Haseen ItniKayi sadiyon mein aati hai koi soorat haseen itniHusn par har roz kahan aise shabab aate hainRoshni ke waaste to unka noor hi kaafi haiUnke deedaar ko aaftab aur mehtaab aate hain
Nasha Zaroori Hai Zindagi Ke LiyeNasha zaroori hai zindagi ke liyePar sirf sharab hi nahi hai bekhudi ke liyeKisi kee mast nigahon mein doob jaoBada haseen samandar hai khudkhushi ke liye